Tanha Mera Pyaar Lyrics – Mohit Chauhan: Presenting the lyrics of the song “Tanha Mera Pyaar” from the movie Bypass Road sung by Mohit Chauhan. The lyrics of this song are penned by Rohan Gokhale.
Tanha Mera Pyaar Lyrics – Mohit Chauhan
Khamoshi si bhari hai ye hawa
Baatein kuch hain adhoori si yahaan
Ab kyaa.. ab kya?
Dil mein thi jo tere liye ek jagah
Lafzon mein kabhi keh hi na sakaa
Ab kyaa… ab kya?
Baatein wahi hai mulaqatein wahi hai
Bas tu hi nahi hai mere paas
Tanha mera pyaar kare intezaar
Tu.. tu hai kahaan? Tu hai kahaan?
Baatein karta hoon tere sang main
Ye maan ki tu abhi hai yahaan
Pyaar karta hoon ab bhi tujhe
Ye jaan ke tu nahi hai yahaan
Jaan se zyada bhi chaaha hai tujhko
Ab jaan bhi jaaye toh kya
Par zinda rahunga bas tere liye hi
Karta rahunga intezaar
Tanha mera pyaar kare intezaar
Tu.. tu hai kahaan? Tu hai kahaan?
Tu hai kahaan? Tu hai… kahaan..?
Mohit Chauhan – Tanha Mera Pyaar Song Details
Song: Tanha Mera Pyaar
Movie: Bypass Road
Singer: Mohit Chauhan
Music: Rohan
Lyrics: Rohan Gokhale
Music Label: T-Series
Release Date: October 19, 2019