Aakhri Baar Lyrics – Palash Muchhal

Aakhri Baar Lyrics – Palash Muchhal: Presenting the lyrics of the song “Aakhri Baar” sung by Palash Muchhal. The lyrics of this song are penned by  Palash Muchhal & Parry G. Zee Music Company Published this song on 22 October 2019.


Aakhri Baar Lyrics – Palash Muchhal

Main aur tu kaafi thhe na thi koi zaroorat
Dil bhi tera, tere chehre jitna khoobsurat
Yahi soch ke main tujhme poora kho gaya
Kya socha tha, kya se kya ho gaya

Main tujhko puchun kya tha ye
Tu kehti sab mazaak tha
Bandh gaya tha tujhse
Ab bandh ho gaya raasta
Hai tujhko mera vaasta
Jawaab de sawaal ka
Tere pyaar ke jaal ka
Mere bure haal ka
Main abhi bhi yaad karke rota
Kitna kiya tha samjhota
Jitna bada samjha humko
Utna ho gaya main chhota
Tujhe na kadar
Tujhe na aasar
Chhodi na tune koi bhi kasar
Jaana chahta tujhse door
Phir bhi teri saari khabar
Par abhi na padta farak
Dil ki baatein kehne thi
Ek aakhri baaar teri bewafaai sehne thi
Tere ghulami se ho gaya hoon ab azaad
Dhayan se sun le ye baat ki…

Aakhri baar kiya pyaar tujhe aakhri baar
Aakhri baar kiya yaad tujhe aakhiri baar

Wo saare lamhe ab aate mere saamne
Jab base the ek dooje ke dil aur jaan mein
Jab basi thi saansein teri muskaan mein
Tabhi ye faasle mere roz praan le
Main abhi bhi wahin hoon tujhe yahi dhoondh raha
Tu hi mujhe dikh rahi tera naam gunj raha
Barsaati thi mujhpe pyaar ki barish
Ab dhundhne par bhi naa milti hai boondein yahaan
Kyun kiya aisa, chhod diya tadapne ko
Kyun di yaadein jab deni thi rakhne ko
Rakh na bhatakne ko, dil ka dard chakhne ko
Pehle haath pakda phir keh diya hatne ko
Itna asaan tha toh mujhko bhi sikha jaati
Keh doon teri khushboo mein din raat teri yaad aati
Lag raha hai khud se kar raha hoon baatein
Kahne na bachi koi baat baaki

Aakhri baar socha hum dono ke baare mein
Aakhri baar mere saare jazbaat haare the
Aakhri baar jo sehna tha seh liya
Aakhri baar jo kehna tha keh diya

Aakhri baar.. kiya pyaar tujhe aakhri baar
Aakhri baar.. kiya yaad tujhe aakhiri baar
Aakhri baar.. kiya pyaar tujhe aakhri baar
Aakhri baar.. kiya yaad tujhe aakhiri baar



Aakhri Baar Lyrics - Palash Muchhal


Palash Muchhal – Aakhri Baar Song Details

Song: Aakhri Baar
Singer: Palash Muchhal
Music: Palash Muchhal
RAP: Parry G
Lyricist: Palash Muchhal & Parry G
Label: Zee Music Company
Release Date: October 22, 2019