Haalaat Lyrics – Naezy: Presenting the lyrics of the song “Haalaat” sung by Naezy. The producer of this song is Bharg.
Haalaat Lyrics – Naezy
Wo kya hua beech me
Meko Dubai jaana pada
Corona bhi chaalu tha
Uske wajah se main thoda gaayab tha, scene se out tha
Maine gaana nikala ni
Mere ko gaane nikalne milre nahi the
Mere zindagi me masla hi aisa chal raha tha
Mere life me situation chal rahi thi
Ghar waalo ne bhi mana kiya, bole rap mat kar, rap mat kar
Main kya karta?
Tum logo ko kya batau mera kya haal hai yaar
Kahan se gaane laaun bhai?Pehle din se rawas tera bhai power
Kar dun nichawar, rehmato ke silsile
Alag jagah pe gul khile, banjar zameen se paani (Paani)
Andar zameer tha ni (Tha ni)
Kab tak rahega zaani (Zaani)
Darindagi teri kahani (Kahani)
Zyada badi pareshani
Aadi karra mujhse, aaye yaad naani
Badi-badi baatein teri, main darta nahi
Khari khoti sunne ka aadat teri
Jadi booti fukne ka jahlat teri
Ghadi-ghadi rukne ka haalat meri
Kabhi nahi jhukne ka chaahat meri
Rishto ko jodne ka daawat dere
Jhamela ko jhela ghum, dhakele hum akele
Savere ko der hai, aur raaton ko andhere
Samaj se bachkar, aisa jeere kaisa jeere
Jahan me ruswai kaise jhele, hum gareeb hai
Mili taraaki khaali fokat me, marhaba mat mara (Marhaba mat mara)
Aa gayi aafat, chaa gaya aafat marhala chal pada (Marhala chal pada)
Ho gaye paagal, kahan tha dimagh, pehle zindagi falsafa (Zindagi falsafa)
Kho diya sab kuch, paake kuch khush hua dil mera (Khush hua dil mera)
Raaton ki neend gayi, din ka bhi chain maine kho diya
Shaitaano se nahi daraa, maa se judaa hua ro diya
Bhavishya sawarna tha, beej maine bo diya
Izzat bacha liya, daag maine dho diya
Bahar se toh zinda raha, andar se laash main ho gaya
Nek kaam ka kya daam
Bheek maangta kya kaam
Ek naam, do pehchaan
Dekh kaisa hai jahaan
Seekh mile khud ba khud
Dheet hile dheere-dheere
Eet gine kya makaan
Cheel cheene ek shikar
Artist main hun, main kiska hun
Main kiska ni, main sabka hun
Bas rabb ka hun, alag sa hun
Mazhab ka hun, ghazab sa hun
Rehearse karun main gasht karun
Tum bas karo, toh main bas karun
Tum haste raho, aur main thaske rahun
Ek hi baar ko mat ghaste raho
Nek aulaad ho toh sach kaho
Break lagaya karo, clutch karo
Automatic hai toh reverse karo
Mehnat karo fukat mat phiro
Aage badhte raho, seedhi chadhte raho
Ciggerate bujhaake, khidmat karo
Family main adjust karo
Zikar ilahi ke jhapte raho
Fikar karo, kuch hifz karo
Clear life ke mess karo
Free hit mile toh six maaro
Dimaagi haalat ko fix karo
Classic ko mat remix karo
Dushmano pe physics karo
Dreams ko accomplish karo
Competition compete karo
Aa jao mera bhai mantri
Police waala bhalti
Pure shehar me chalti
Yahan pe bhi, aur baahar bhi
Cheen lu tere se barbie
Kaha jaau music se hi chalti rozi-roti apni
Roz rote hum bhi, dua maangu lambi
Khushi hai toh ghum bhi
Ups hai, down bhi
Don hai toh, clown bhi
Non-veg hai vegan bhi
Knowledge hai firangi, kaat’te hum patang hi
Naashte me nakli, rapperon ko dhakli
Hustle mera asal hi
Baaki sab hai nakalchi bandar, tera bhai kaand kara, saturday ko andar
Monday ko money-money
Sunday ko honey-honey
Toda maine rishte hazaar funny (Hhaha)
Baatein lage teri mujhe
Khaali peeli deri mujhe
Attention, mention kari mujhe
Pension note chahiye hari mujhe
Kar dena uss din burry mujhe
Jis din lage main mar chuka
Aaj bhi khoob zinda raha
Itna suffer toh main kar chuka (Haa)
Raaste me thi rukavte (Yeah)
Lekin kabhi na sar jhuka (Yeah)
Aazmaishe safar ka hissa
Kispe nikalun main gussa
Kismat ka udd gaya sikka
Rab ne bana di zindagi
Maamuli se rangbirangi
Maa ko le chalu sabzi mandi
Kal toh khush tha, jab gardi kam thi
Maatha teka masjid me jaldi
Yahan zameen pe, aasman se chalti
Faasle karu kayko kamti
Lagi thi aag dil me tujhko kahi aur hi (Mujhe pata kidhar hai)
Kare tum aadi mujhse, dushman karte aadi
Sabhi ka masla hora, mera kuch toh hor hi
Kare kya aise pal me, aankhon se aansu zaari (Haan hai)
Pyaaso ko mil gaya paani, main darta nahi
Apni kahani, bhula nahi, chhoda nahi, jiyaa nahi
Apni jawani chahiye thi raani
Miracle hoga mera kal
Behtar hoga mera pal
Main rahunga parvat par
Bachpan se sabse hatkar
Kahe dil har ghadi
Mere dost ka main saath de dun
Soch zara, thoda heart de dun
Afsos kara aytemaad me tu
Mulaqaat se door, jazbaat me dhoor, atmavishwas me
Aakhiri andaaz me sawaal na saboot
Na suit, na boot
Mita dun tatto
Yeh hai zindagi meri teko kya laga tha
Dard sehna hai kaam mera, chalta main lagataar
Kaash ye kash se nikalte, kashmakash se
Last me haar ke jeet jaaye kyun ke rakhte qasme
Naezy – Haalaat Song Details
Song: Haalaat
Singer: Naezy
Produced by: Bharg
Release Date: February 22, 2022