Jawab do Lyrics – S.u.h & Nazim Ahmed

Jawab do Lyrics – S.u.h & Nazim Ahmed: Presenting the lyrics of the song “Jawab do” sung by S.u.h & Nazim Ahmed. The music of this song is given by Fizzix.

Jawab do Lyrics – S.u.h & Nazim Ahmed

Sach ka samna karau mai kaise
Is desh me kya chal raha tumko batau kaise
Roz hote rape balatkari ghumein khule aam
Janta kyu chup kyu ho jaati sabko band zubaan
Jaan le lena kyu tumko lagta asaan
Zameer sabke dafan nahi bacha koi insaan
Is soch ko tum badlo kyu kar rahe hindu-musalmaan
Tab kaha mar jaate jab izzat lut ti sare aam
Wo masoom bacchi
rape karke fek diya gaya
Wo masoom bacchi
Jiska sar kuchal diya gaya
Wo masoom bacchi
Zinda jalaa diya gaya
Wo masoom bacchi
Jispe zulm dha diya gya
Sarhad par marta fauji phir bhi sab rehte chup
Beta jinka khota bas unko hi hota hai dukh
Mohabbat baato aur sath milke rahi khush
Durghatna ho jaati pehle video bana lete ruk
Raajniti daldal isme dhaste chale jaoge
Atyachaar ke khilaf aawaz kab uthaoge
Ghotalo pe ghotale yaha sabke dil kaale
Badhta bharastachaar yaha khokle hai saare
Sab moun kyu 
Jawab do
Kya mai sahi keh raha hu
Jawab do
Kya tum sahi kar rahe ho
Jawab do
Apne dil se ye pucho
Jawab do
Kya upar wala khush tumse
Jawab do
Kya mai sahi keh raha hu
Jawab do
Kya tum sahi kar rahe ho
Jawab do
Apne dil se ye pucho
Jawab do
Kya upar wala khush tumse
Aansu se bheegi palke aansu ab na rok paun
Kehne ko bohot kuch halaat samjha na paun
Sab jante hai kya galat kya sahi hai
Tum dekh sakte laashe wo laashe main na dekh paun
Dharm ke naam par ye ho rahe hai jaativaad
Hindu Muslim Sikh Isaai jitne bhi mere bhai sab
Chordo sab aaj se band karo ye khel
Waha so raha bhuka bachha khana milega usko kab
Sadak kinaare dekhi gareebi ki jhopdi
Chehre pe udaasi mil jaaye do waqt ki roti
Khamoshi, hoth sukhe hue pyaas se
Sukun se na sote jinke paas badi kothi
Raajneta khush bhaichara Khatam
Hindu-Muslim karne me reh gaye hum
Zinda kar insaniyat haivan tu na ban
Khushi milegi tujhe kar achhe karam
Ram nahi kehte tum maaro bekasuro ko
Allah na kehte tum maaro bekasuro ko
Dastoor bana liya tumne is choti si baat ko
Insan bano pehle dharm baatna tm baadko
Jawab do
Kya mai sahi keh raha hu
Jawab do
Kya tum sahi kar rahe ho
Jawab do
Apne dil se ye pucho
Jawab do
Kya upar wala khush tumse
Jawab do
Kya mai sahi keh raha hu
Jawab do
Kya tum sahi kar rahe ho
Jawab do
Apne dil se ye pucho
Jawab do
Kya upar wala khush tumse
Jawab do Lyrics - S.u.h & Nazim Ahmed

S.u.h & Nazim Ahmed – Jawab do Song Details

Song: Jawab do
Artist: S.u.h, Nazim Ahmed
Lyrics: S.u.h, Nazim Ahmed
Music, Mixing & Directed: Fizzix
Produced By: Nazim Ahmed