Mera Jism Meri Marzi Lyrics – CHEN-K
Mera Sahar Roji Roti Kamai Baap Ki
Aima Ki Tarah Mujhe Ban’na Tha Gaika Bhi
Par Yeh Khaal Insaani Haddi Pe Thi Aurat Jaat Ki
Baap Bola Tordunga Guitar Tera
Bhai bola Behna Yeh Wakti Bukhaar Tera
Samaaj Bola Apni Maa Ko Sahi Se Taad Zara
Tu Aurat Khuab Dekha Tou Kharab Kirdaar Tera
Kamaana Mardon ka Kaam Yeh
Tu Khaa Makaan Mein bola Meri Sagi Maa Ne
Machaya Maine Rola Bola Bibi Khadija Ko Tou
Kamaane Se Kabhi Na Roka Nabi Pak Ne
Bhai Cigrette Piye Usey Kyun Nahi Rokti Tu?
Papa Bahar Mu Maaren Unhe Kyun Nahi Tokti Tu?
Maa Yeh Gulami Islam Nahi Sikhata
Main janti Hun Andar Se Roj Roti Tu
Shush Bholi Maa Boli Bol Ahista
Barabar Ke Kamre Mein Tere Baap Ka Bistara
Wapis Ghar Aate Hue Tu Sehmi Sehmi Si Jis Tarah
Wehmi Rehkar To Dar Mein Phir Kamaegi Is Tarah?
Beti Bahar Koi Nahi Kisi Ka Tujhe Galat Fehmi Hai
Phook Ke Aital Kursi Bhi Rehti Dil Mein Bechaini Hai
Tu Phool Hai Beti Teri Saari Baaten Zehni Hain
Par Is Samaaj Ke Darakht Ki Tu Tehni hai
Maa Agar Main Koi Phool Nahi Ya Hoor Nahi
Tou Mardon Ki Gandi Nazren Kyun Ghoortin
Main Sar Seene Pe Dupatta Daaldun Phir Bhi
Seedha Meri Peethpe Inki Nazren Ghinalood Si
Saira Mera Naam Ab Meri Umar 22
Khushi Ke Baghair Meri Shadi Najaiz
Maardi Main Ne Gaika Bhi Ban’ne Ki Khuaish
Mera Jism Meir Azmaish
Mera Jism Meri Marzi Hai
Mera Jism Meri Marzi
Mera Jism Meri Marzi Hai
Is Pey Kisi Ka Koi Haq Nahi
Mera Jism Meri Marzi Hai
Mera Jism Meri Marzi
Mera Jism Meri Marzi Hai
Mera Jism Meri Marzi Hai
Is Pey Kisi Ka Koi Haq Nahi
Mera Naam Maira Main 23 Saal Ki
Rozi Roti Main Khud Apni Kamaati
Saira Ki Tarah Mujhe Ban’na Tha Gaika
Par As An Actress Duniya Mujhe Pehchaanti
Baap Mera Suida Mein Settle
Sagga Bhai Mera Khud Apna Manager
Bhai Kya Meri Maa Tak Ka Tha Forward Nature
Mera Bhai Ka Yaar Awara mera Jigar
Par Saira Meri Kahaani Milti Julti Si
Meri Shadi Bhi Iski Tarah Majboori thi
Khudkushi thi Jism Ki Khudkushi Thi
Mere Niakh Mein Maa Baap Ko Mujhse Jyada Khushi Thi
Quran E Pak Ke Tarjume Se Doori Thi
Parhke Samjh Ai Yeh Shadi Bewakoofi Thi
Rabb Ne Ijaazat Mana Karne Ki Poori Di
Maa Baao Ne Beti Ki Izzat Lootli Thi
Phir Bhoolgai thi Zulm Ye Bhi Maa Baap Ka
Mere Shohor Ko Mujhse Pyaar Behisaab Tha
Par Meri Saas Ka Dimagh Poora Kharab Tha
Shohor Mei Larai Mein Us Hee Ka Hath Tha
Raabta Kia Maa Baap Se Kehte Kar Guzaara
Shohor Ne Haden Paar Ki Mu Pe Thappad Maara
Yeh To Wohi Rawaiyya Jo Meri Maa Se Baap Ka
Pata Hai? Ansu Ka Zaika Khara
Lagaya Haq Ka Naara Mili Talak Mujhe
Main Ab Adakaara
You Kyun Na Yeh Naqaab Uthe?
Gair Mardo Ne Kar Diya Napaak Mujhe
Pak Jism Kya Mera? Rooh Yeh Sawaal Puche
Rabb Roothe yeh mera Uska Maamla
Mera Bhai Aaya Kaampta Chen-K Ne Aapka Naam Liya
Kehta Ye Jaise Maira Ka Jism Nanga Naachta
Wohi Nanga Jism Lekar Sadko Pe Khule Aam Aa
Mera Jism Meri Marzi Hai
Mera Jism Meri Marzi
Mera Jism Meri Marzi Hai
Is Pey Kisi Ka Koi Haq Nahi
Mera Jism Meri Marzi Hai
Mera Jism Meri Marzi
Mera Jism Meri Marzi Hai
Mera Jism Meri Marzi Hai
Is Pey Kisi Ka Koi Haq Nahi
Mera Naam Chen-k urf Nadir
Zimedaari Rozi Dene Waali Allah Ki
Gaane Waane Se Mujhe Kisi Ne Roka Nahi
Kyunki Main Mard Hun Mujhe Poori Azaadi
Tahi Baat Bangle Gaari, Aurat, Wagera Ki
Han Wo Rasta Tou Hai Par Meir manzil Ka Nahi
Par Dekh Ke Barhti Umar Maa Baap Ki
Mera Bhi Dil Kare Banjaun Main Shaitan Ka Pujari
Maira Jaisi Rakhlun Main Nangi Models
Haaton Mein Charas Aur Sharab Ki Bottles
Main Bhi Uthana Shuru Kardun Behhairat Hoker
Tou Yun Ajaengi Labels Ki Call Kal
Aur Bharke Do Mujhe Galliyon Pe Galliyan
Karwe Sach Ka Chakaunga Aur Bhi Zaika
Safaiyan Dene Ka Waqt Nahi
Wo Kambakht Sa Dushman Insaan Ka Khelra Hai Chupan Chupiyan
Saira Tu Ese Darna Bus Kar
Kitaaben Khol Kar Qanoon Ke Kaagaz Parh
Jab Ladke Tujhe Ghooren Ya Cheren Has Has Kar
Tou Rakh Kar Muh Pe Thappad De Inhe Kaskar
Farz Kar Tere Peeche Pari Koi Gaari
Tou Ye Online Daur Hai Mobile Tera Bhaari
Saira Har Taraf Bus Hawas Ke Pujaari
Tera Jism Teri Bhi Zimedaari
Aakhri Baat Maira Se Mujhe Ek Do Bolni Hai
Bolne Ka Haw Mujhe Gussa Kyun Hori Hai?
Naachna Hai Naach
Ada Dikha Tu Jaise Morni Hai
Naachne Ke Sath Par tu Na*gi Kyun Hori Hai?
Biwiya Tou Hoti Na*gi Ya Koi Mandi Mein
Tou Biwi Tou Nahi Kisi Ki Tou Kia Tu Ra*di Hai?
Tu Dus Wajaaon Mein Se Ek Waja Hai
Jis Waja Se Aurten Khilauna Lagrahi Hai
CHEN-K – Mera Jism Meri Marzi Song Details
Song: Mera Jism Meri Marzi
Singer: CHEN-K