Raakh Lyrics – Arijit Singh
Woh kehte hain ishq hadd mein karo
Jo ishq kya hai na jaanein
Yeh dil to anpadh dehaati sa hai
Kya kuchh lika hai kya jaaneBaahar se dekha jinhone
Andar chale kya kya jaaneinHum jal jaayein raakh bachegi
Ishq mein ik na aag bachegi
Phir bhi inn seeli aankhon mein
Aakhiri lau tak aas bachegiJal jaayein raakh bachegi
Ishq mein ik na aag bachegi
Phir bhi inn seeli aankhon mein
Aakhiri lau tak aas bachegiChup to na hogi mohabbat
Dushwariyon se dara ke
Ummeed iska lahu hai
Hain dard iski khuraakein
Jitne zakham aur judenge
Utna badhengi yeh shaakheinWoh kaat daalein humeinchahe roz
Zidd jad mein hai kya karenge
Ek pyar ek jung dono ke dosh
EK ghar mein hain kya karengeEk dil hi khud mein bohat hai
Kis kis ki parwah karengeHum jal jaayein raakh bachegi
Ishq mein ik na aag bachegi
Phir bhi inn seeli aankhon mein
Aakhiri lau tak aas bachegiJal jaayein raakh bachegi
Ishq mein ik na aag bachegi
Phir bhi inn seeli aankhon mein
Aakhiri lau tak aas bachegi
Arijit Singh – Raakh Song Details
Song: Raakh
Singer: Arijit Singh
Music: Tanishk & Vayu
Movie: Shubh Mangal Zyada Saavdhan
Programmed and Arranged by- Tanishk Bagchi
Lyrics: Vayu
Music Label: T-Series