TU PHIR SE AANA Lyrics – Karma & Raftaar

TU PHIR SE AANA Lyrics – Karma & Raftaar: Presenting the lyrics of the song “TU PHIR SE AANA” sung by Karma & Raftaar. 

TU PHIR SE AANA Lyrics – Karma & Raftaar

Bhaar mastakon pe le chale
Jo pustako se door
Panpe jis zameen pe
Us zameen pe maa bhi majdoor
Man se nasht tan pe kasht
Raat khane me hai choor sang loon
Yeh gareebi ka kasoor
Aur jo noor na banenge bache kood me milenge
Nasoor se pale jo kaise soorme banenge
Kuch woh phool jo khilenge
Kuch ko school na milenge
Kuch ke paav do chhilenge
Chup woh dhool me milenge
Jiske paet me anaaj na
Woh kis dharam ka hai bhala
Ik bharam me jeeta wo ki
Kab garam ho ek tawa
Kis karam ki maar hai
Ahar inka bas hawa
Naa milti maa ko ek dawa
Pita sava me gumshuda
Ik dafa
Socho desh band tha woh chal padi
8 meel pehle ghar se gir ke dharr pe mar padi
Jeeta naan baalika ko jeeti na jo ek kadi
Woh aafan hai ya jal chuki
Yeh sochta me har ghadi
Tu phir se aana muskan banke
Mere ghar mein chhota mehmaan banke
Tu phir se aana muskan banke
Aur hanske jeena meri jaan banke
Pet mein aag lagi hai
Par paani bhi toh paas nahi
Chhote hai kadam kaafi
Jawani bhi toh paas nahi
Wo thak chuke itna ki
Patri pe hi so jaayein
Par sulaane wali
Maa ki kahani bhi to paas nahi
Jo ghar pe hai wo khush hai
Jo road pe wo puchhe
Ki ghar ki chhat milegi kab
Kaha pe jaake lu chain
Jab maa chhodne aayi thi
To ek din mein pahuche the
Ab waapas jaane mein
Mujhko lagre hai kyun din 6
Ab sab dhudhla lagra
Nahi bacchi hai taaqat
Ab so hi jaata hoon
Agle janam mein lunga daawat
Bas maa ko batla dena
Ke thoda door hi tha mein
Hawa mein khusbu lele
Milne tak lele raahat
Or jo kehte hain ke marne par hum
1 lakh denge
Maano 16 maut aayi
Or ho gaye 16 lakh
Upar shikaayat karunga
Ab wo hisaab lenge
Jo ghar tak chhod dete
To bach jaati 16 laash
Hey…
Tu phir se aana
TU PHIR SE AANA Lyrics - Karma & Raftaar

Karma & Raftaar – TU PHIR SE AANA Song Details

Song: TU PHIR SE AANA 
Performed by- Salim Merchant, Karma, Adrija Sinha & Raftaar
Music Producer: Raftaar
Music Co-Produced by- Salim Merchant and Saurabh Lokhande