Malaal Lyrics – Rap Demon, Somee Chohan, Mustafa Kamal
Sangeen Wakt Aesa Bas Paisa Peer Ho
Taqdeer Ko Banda Kitna Kosay
Andhaypan Mein Na Dekh Sakay
Bari Tasveer Ko
Kisi Ki Eid Jo Hai Kisi Ka Malaal
Kisi Ki Izzat Pry Uth Rahay Sawaal
Kisi Ka Mulk Bana Usi Ka Mazaar
Utha Dey Yun Awaz Nahi Kisi Ki Majaal
Kon Zimedar? Kis Kay Ye Hath Mein?
Jawab Milta Nahi Kisi Bhi Kitab Mein
Aur Haar Kay Hakaat Sey Dey Hath Chor
Is Bhag Dorh Mein Koi Kyun Tera Hisaab Dey?
Anaa Sey Ye Jal Rahay Rishtay
Bata Aitebar Ho to Kispay?
Bhaiyon Kay Khoon Sey Bank Cheques Ye Likhtay
Mukhatib Hain Dil Kay Behis Sey Ye Hissay
Aur Phit Sey Ye Bolein Gey Munafiq
Sach Ab Mein in Sab Ki Rag Rag Se Wakif
Aur Kab Tak Ye Maqtab Bhi Ja Kay
Saal O Saal Bita Kay
Tab Bhi Niklain Gey Jahil Kay Jahil
Wo Dekh Shor Ho Raha Bahir
Dhoond Wo Jo Tarap Rahi Kon Uska Qatil
Khoon Mein Jo Lipat Chuki Mout Ho Rahi Zahir
Wo Bach Bhi Gayi to Kya Milay Ga Usay Sahil?
Us Pagal Ka Apna Kasoor Tha
Kya Char Se Nikal Kar Kuch School Uska Door Tha
Uskay Un Kapron Pe Banta Tha Ghoorna?
Uska Kasoor Tha Kay Nashay Mein Wo Choor Tha?
Rap Demon, Somee Chohan, Mustafa Kamal – Malaal Song Details
Song: Malaal
Written/Performed by- Rap Demon, Somee Chohan, Mustafa Kamal
Music/Mix/Master by- Rap Demon